Thursday, July 27, 2023
Famous Urdu Sad Ghazal By Gulzar Faiziwrite
تنکا تنکا کانٹے توڑے ساری رات کٹائی کی
کیوں اتنی لمبی ہوتی ہے چاندنی رات جدائی کی
نیند میں کوئی اپنے آپ سے باتیں کرتا رہتا ہے
کال کنوئیں میں گونجتی ہے آواز کسی سودائی کی
سینے میں دل کی آہٹ جیسے کوئی جاسوس چلے
ہر سائے کا پیچھا کرنا عادت ہے ہرجائی کی
آنکھوں اور کانوں میں کچھ سناٹے سے بھر جاتے ہیں
کیا تم نے اڑتی دیکھی ہے ریت کبھی تنہائی کی
تاروں کی روشن فصلیں اور چاند کی ایک درانتی تھی
ساہو نے گروی رکھ لی تھی میری رات کٹائی کی
tinka tinka kante tode sari raat katai ki
kyun itni lambi hoti hai chandni raat judai ki
neend mein koi apne aap se baaten karta rahta hai
kaal kunen mein gunjti hai awaz kisi saudai ki
seene mein dil ki aahat jaise koi jasus chale
har saye ka peecha karna adat hai harjai ki
ankhon aur kanon mein kuch sannate se bhar jate hain
kya tum ne udti dekhi hai ret kabhi tanhai ki
taron ki raushan faslen aur chand ki ek daranti thi
sahu ne girwi rakh li thi meri raat katai ki
Thanks For Visiting for more gulzar poetry click here
Tags
# Gulzar Ghazals

About Urdu Poetry Short
alistarbot is a blogger resources site is a provider of high quality blogger template with premium looking layout and robust design. The main mission of templatesyard is to provide the best quality blogger templates.
Gulzar Ghazals
Labels:
Gulzar Ghazals
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Urdu Ghazals Urdu Poetry Shairy in Urdu Faiziwrite gulzar ghazals
Urdu Ghazals Urdu Poetry Shairy in Urdu Faiziwrite gulzar ghazals خوشبو جیسے لوگ ملے افسانے میں خوشبو جیسے لوگ ملے افسانے میں ایک پرانا خ...

No comments:
Post a Comment